Senin, 12 Desember 2016

10 Best Android Mobiles In Hindi

Android best smartphones konse he. Friends agar aap naya android phone lena chahte he to aapke man me bhi ye sawal aa raha hoga k konsa mobile lu. Hum lagbhag 2016 ke end pe aa gaye he. Aur iss saal hume bohot se featured android smartphones dekhne ko mile he. Kuch bohot Achhe aur kuch thik thak. Lekin jyadatar smartphones bohot hi kam daam me aur best features wale the. Agar aap bhi iss saal naya smartphone kharidna chahte ho to iss post pe aapko bohot se options milenge.



Agar aap bhi best android mobiles k list chahte he to aaj aap sahi jagah pe ho. Iss post pe me aapko kuch mobiles k list dunga jo mere hisabse best he aur jinme sabhi features maujud he. To, chaliye hum jaan le k sabse acha mobile konsa hai aur inme kya features maujud he.

Lekin, list dene se pehle me aapko kuch batana chahta hun. Smartphones aapko saste aur mehnge dono milte he. Aur, ye sahi he k aajkal saste phones pe bhi sabhi chize maujud hoti he. Lekin agar aap best android mobile kharidna chahte ho jispe atchi camera quality, jyada RAM, fast processor, smooth touch, HD display, high graphic, style jesi chize ho to me aapko kahunga k 8 Thousand se 15 Thousand k andar ka budget chune. Kyuki iss price range pe aapko best aur feature loaded phones milenge.

So, chaliye niche hum dekh le android ka sabse accha mobile konsa hai. Me jo phones ke list dunga wo aap flipkart ,amazon ya snapdeal etc. se online ya local stores se kharid sakte he. Sabhi phones k recent price aapko bata dunga isse aapko price ka andaza bhi ho jayega. Dhyan rakhiye k me aapko jo price dunga wo abhi k hisabse hoga. Baad me mobile k daam (prices) change bhi ho sakte he.

Sabse Acha Mobile Konsa Hai

To dosto kya aaplog tayyar ho 2016 (December) ke best smartphones ke naam janne k liye. Shayad han, to chaliye aapka aur samai na lete huwe shuru karta hun aaj ka topic.

Xiaomi Redmi Note 3 (32GB)(4G)

Well ispe koi shak nahi k Xiaomi Redmi Note 3 ek bariyah aur best smartphone he. Kyuki iss phone ko mene khud istemaal kiya tha aur aap believe nahi karoge k kya features the iske. Is phone ki jo sabse khas baat he wo hai iski HD clear display aur high speed processor. In sabhi k alawa best part he iski camera quality. 16 mega pixels primary aur 5 mega pixel front facing camera ki iski feature kisi ko bhi diwana bana sakta he.
Is phone pe aapko dual 4G sim ki slot milti he jisse aap do 4G sim chala sakte ho. Inn sabhi chizo se bhi jyada atcha iska design he. Stylish metal body wo bhi premium finish k sath ye phone aapko jarur pasand anewala hai.

Xiaomi Redmi Note 3 features:

•Stylish metal body with premium finish.

•Dual 4G sim support. (4G+4G).

•5.5″ full HD display (1920*1080), IPS LCD capacitive touch screen.

•16 MP primary and 5MP front camera.

Android V.5.1.

•1.8GHz Qualcomm Snapdragon processor and 3GB RAM.

•32GB internal memory.

•4050mAH battery.

•Amazon.in price: Rs.11,999/-

•Flipkart.com price: Rs.11,999/-


Micromax Canvas 5 E481

To ab humare list pe Micromax canvas ki smartphone aa gayi he. Wese agar aap mujhse puche k micromax ka sabse acha mobile konsa hai to me kahunga lagbhag sabhi. Micromax ke sabhi smartphones best he. Kyuki, mene micromax k bohot se model use ki hai aur mujhe sabhi pasand aye. Itne kam daam me smartphones wo bhi itne sare features k sath sirf micromax hi aapko deta he. Isiliye mene Micromax Canvas 5 ko chuna he. Iski features aur performance kamal ki he.

Micromax ki is smartphone pe aapko 13MP primary camera auto focus k sath milti he. Iske sath HD recording, flash aur 5MP front camera bhi milti he. 5.2″ IPS capacitive touchscreen (1920*1080) ki wajah se ye display me bhi piche nahi he.

Processing aur speed k liye aapko ye phone jyada pasand ayega. Kyuki ispe aapko milti he 1.3Ghz octa core processor 3GB RAM k sath. To agar aap android game lover he to ye phone aapko diwana bana dega. Storage kamal ki he jo 16GB ki he aur jise aap 64GB tak barha sakte ho. Micromax canvas 5 E481 ki android OS version he v5.1 lollipop aur battery 2900mAH.
•Amazon price: Rs.9,088/- (16GB)
•Flipkart price: Rs. 11,777/- (brown, 32GB)


Lenovo Vibe K4 Note (16GB)(4G)

Agar baat ho rahi ho android ka sabse acha mobile konsa hai aur uspe lenovo ka name na ho to ye kya ho sakta he. Lenovo k dusre bariya smartphones k baad Vibe k4 Note logo ko bohot pasand aayi hai. Online stores pe iske ratings bhi bariah he. Amazon.in pe ise 4 points mile he out of 5 points. Aap isse andaza laga sakte ho ki ispe behtar features jarur honge.
Lenovo ki ye 5.5″ ki full HD smartphone aapko ek smooth touch aur behtar display provide karta he. Sound ki baat kahe to ye first phone he jaha aapko theatermax technology k sath Dolby surround sound milti he. Sound k baad hume jo chiz dekhni he wo he camera. Camera aapko milti he 13MP primary aur 5Mp front.

Lenovo Vibe K4 Note features:
•Dolby surround sound Theatermax technology k sath.
•Dual 4G sim k sath.
•5.5″ ki screen, HD (1920*1080 pixels) IPS creen Gorilla glass k sath.
•13MP primary camera and 5MP front.
•Android v.5.1 OS.
•1.3Ghz octa core processor.
•3GB DDR3 RAM.
•16GB internal memory k sath jise aap 128GB tak barha sakte ho.
•3300mAH battery.
•Amazon.in price: Rs.10,999/-


Huawei Honor 5X (16GB)

Chaliye aab bari aai he mere top 4 list ki jispe mene rakkha he Huawei Honor 5x ki. Dosto, agar aapko performance chahiye to ye smartphone aapko nirash nahi karega. Kyuki, performance ki baat kahe to yaha aap high graphics games khel sakte he, dhero apps install kar sakte he bina kisi slow ya hang problem k. Octa core CPU 1.2Ghz + 1.5Ghz ki iski processor with 2GB RAM ise fast aur smooth kaam karne deta he.
Phone ki internal storage he 16GB jise aap 128GB tak barha sakte ho. To jitna chahe apps aur games install kare kyuki jagah ki koi problem aapko nahi ane wali.
Honor 5x ki android OS version he v5.1 lollipop. Battery he 3000mAH smart power technology ki. So, aapko jyada charge karne ki bhi jarurat nahi.
Aab finally baat karte he iski screen aur camera ki. Agar aapko bare screen pe movie dekhna pasand he to ye phone aap hi ke liye he. 5.5″ ki  IPS LCD screen (1920 x 1080) ke iss phone pe movies dekhna aur games khelna ek best experience hone wala he. Design k mamle pe bhi ye piche nahi kyuki Honor 5x phone full metal body ki he.
Agar aapko photos lena pasand he to aapko iski 13MP primary aur 5MP front facing camera jarur pasand ayega.

•Amazon.in price: Rs.12,999/- (Gold)

•Flipkart price: Rs.12,999/- (Silver)


Moto G Turbo (16GB)

Chaliye ab humare list pe he Moto G Turbo with advance water resistance (protection dust aur water se). Iska best design aur loaded features ise mere list pe 3rd pe lata he. Features ki baat kahe to ispe upar k do smartphones k mukable thora kam he. Lekin, lagbhag 10,000/- k price range pe Moto G best android mobile he.

Iss phone pe aapko milti he HD corning gorilla glass 5″ ki screen size k sath jiski resolution he 1280*720 pixels. Agar battery ki baat kahe to 2470mAH battery milegi turbo power k sath. Photos ki baat kahe to mujhe pata he k aapko photo click karna kitna pasand he. Isiliye ye best android phone aapko deta he 13MP primary camera dual LED flash k sath. Isse aap raat ko bhi clear pics click kar paoge. Aur 5MP front camera.

Moto G Turbo phone ki Android version he v5.1.1 jise 6.0 pe upgrade kia ja sakta he. Now, agar aapko phone pe games khelna ya apps install karna pasand he to wo bhi bari asani se kar sakte ho. Kyuki, yaha aapko milti he 1.5GHZ octa core processor aur 2GB RAM. iska matlab aapka ye phone bohot hi smooth aur fast kaam karega. Additionally ye phone dual 4G sim (4G+4G) support karta he aur iski internal storage he 16GB. Agar aap mujhse puche k Gaming k liye sabse acha mobile konsa hai to me ise chununga.
•Amazon.in price: Rs.9,637/- (Black)
•Flipkart.com price: Rs.9,999/- (Black)


Lenovo Vibe K5 Smartphone

Agar aap thora kam daam me acha smartphone dhund rahe ho to Lenovo ki ye Vibe K5 best he. Me ise best smartphone isiliye kahunga kyuki iski price bohot hi kam he. Rs.6,999/- me aapko itna kuch milega k aap believe nahi karoge. Agar aap kahe lenovo ka sabse acha mobile konsa hai to iss price range me performance, style, design, screen size, camera ko dekhte huwe ye meri pehli choice he.

Sabse pehle jo me iss phone k bare me kahunga wo hai iski slim design. Ye phone bohot hi slim aur stylish hai. Camera quality me bhi ye piche nahi he. Iss model pe aapko milti he 13MP primary camera with auto focus aur led flash. Front camera ki baat kahe to wo bhi aapko 5MP ki milti he. To, agar photo lover he to ye phone aapko nirash nahi karega.
Display aur screen ki baat kahe to aapko milti he 5″ ki HD IPS display (1280*720 pixel). To aapko bari screen pe HD movies dekhna pasand he to 5″ ki ye screen kafi he. Wese, processing me bhi ye smartphone kam nahi. Ispe aapko 1.4Ghz ki octa core processor milti he adreno 405 GPU k sath. Yane, high graphic games is phone pe smooth aur bina kisi rukawat chalenge. RAM bhi 2GB ki he aur internal memory 16GB ki jise aap 32GB tak barha sakte he. Ye lenovo vibe k5 phone dual 4G sim support karta he (4G+4G).
•Amazon price: Rs.6,999/-


Moto E3 Power (16GB)

Again hum apne sabse acha mobile konsa hai k iss list pe Moto ki phone add kar rahe he. Ye phone mujhe personally pasand he iski looks aur features ki wajah se. Ye phone aap bhi kharid sakte he sirf Rs.7,999/- flipkart se. Iss dual sim android mobile phone pe aapko 2GB RAM aur 16 GB ROM milti he. Yane internal storage he 16GB jise aap 32GB tak barha sakte he. Screen bhi kafi bari he jo ki 5″ ki he. Camera quality to atchi hi hogi kyuki 8MP primary aur 5MP front camera atchi photo hi khichega. Battery backup bhi aapko jyada milegi kyuki aapko milti he 3500mAH ki battery.
•Flipkart price: Rs.7,999/-


Samsung On5 Pro

Mujhe pata he ki aap mere is list pe samsung ka acha phone bhi dekhna chahte ho. Jab hum baat kar rahe he sabse acha mobile konsa he tab samsung ka phone list pe na ho to baat kuch hazam nahi hoti. Wese iske bohot se models he jo perfect aur best he. Lekin, iss list pe On5 pro ko add karna chahunga. Amazon.in ki website pe ise rating mili he 4.3 out of 5 points. Iska matlab logo ko ye phone bohot pasand aya he.

Hum sabhi jante he ki samsung ki mobile phones pe camera quality bohot hi atchi hoti he. Iss model pe bhi aapko camera k liye bohot se options milte he. Jese, 8MP ki primary camera auto mode, beauty face, continuous shot, interval shot etc features k sath. Front camera bhi bariah he jo ki 5MP ki he.

Display aur screen ki baat kahe to aapko milti he 5″ ki TFT capacitive touch screen 720*1280 pixels HD display k sath. On5 pro ki android OS version he v6.0 marshmallow jo ki latest he. Yane, aapko iski OS version filhal to upgrade karne ki jarurat nahi paregi.

Kuch aur features he:
•1.3Ghz quad core processor.
•2GB ki RAM aur 16 GB ki internal memory.
•Dual 4G sim support (4G+4G).
•2600mAH battery.
•Amazon price: Rs.7990/-


Micromax Canvas 6 Pro

Sabse acha mobile konsa hai ki iss list pe hum aa gaye he Micromax ki aur ek mobile phone pe. Yes, Micromax Canvas 6 pro bina kisi doubt ke sabse best android mobiles mese ek he. Jesa k maine pehle hi kaha tha k me Micromax mobiles ka diwana hun. Kyuki, itne saste price pe sabhi pro aur premium features ye brand aapko deta he. To, chaliye hum iss model ke bareme niche jaan le.

Sabse pehle hum baat karte he iski camera ki jo hai 13MP primary aur 5MP front facing camera. Yane agar aapko photoes khichna pasand he to ye aapka sabse atcha dost banne wala he. Photoes k alawa aur ek bariah chiz hai iski screen size. Kyuki, 5.5″ ki FHD display (1920*1080 resolution) k sath movies dekhna amaizing feeling honewala he.
Display aur screen k baad aapko milti he android v5.1 OS. 4GB ki RAM jisse aapka phone bohot hi speed se kaam karega. To, agar aap sabse fast android mobile konsa he ye dhund rahe ho to ye phone best option he. Internal storage bhi kafi atchi he jo he 16GB jise aap 32GB tak barha sakenge.

Smartphones pe sabse jyada mushkil hoti he charging ka. Bohot jald hi charge khatam hone lagta he. Lekin, Micromax Canvas 6 Pro me esa nahi hone wala. Iss pro mobile pe aapko milegi 3000mAH ki battery jo ki kafi samai tak backup deta he.
•Amazon price: Rs.9,998/-
•Flipkart price: Rs.11,999/-


Asus Zenfone Max (3GB)

Chaliye dosto hum aa gaye he humare sabse acha mobile konsa hai ki final phone pe. Upar hume bohot se android mobiles mile jinme best speed, fast processor, HD display, Bari screen size aur bohot se features the. Aur, aab hum jo smartphone k bareme baat karenge wo hai Asus Zenfone Max.

Meri asus ki koi phone nahi hai lekin mene apne dost ki mobile pe iski camera quality dekhi he. Kya quality thi dosto. Agar aap acha camera ki phone chahte ho to ye phone baria he aapke liye. Camera me aapko milegi 13MP primary camera jo ki bohot bariah quality deta he aur 5MP front facing camera. Security k liye bhi aapko alag option milte he jo he finger print scanner.

Display ki baat kahe to iss android smartphone pe bhi aapko 5.5″ ki HD IPS display (1280*720 pixels) milegi.
Agar aap jyada battery backup wale phones dhund rahe ho to ye phone aapke umido pe khara utrega. Asus Zenfone Max ki battery he 5000mAH ki. Yane aab charging k liye aapka jyada samai khatam nahi hone wala.

Baki kuch features he:

•Android OS v6.0.1 marshmallow.
•1.5Ghz octa core processor.
•RAM 3GB and 32GB internal memory.
•Dual sim.
•Battery 5000mAH.
•Amazon price: Rs.13,590/- (32Gb)


Final words
Dosto sabse acha mobile konsa hai ye to hume phones use karke hi pata chalta he. Lekin product review aur comments k upar mene ye 10 best android mobile ki list aapse share ki hai. Diye huwe mobiles k naam se aap inhe online kharid sakte he. Ek baat ka dhyan rakhiye ga k inn sabhi phones k online prices change hote rehte he. So, mene inke price ko 12 december 2016 k hisab se di he. But, jyada changes nahi honge. Agar aapko apna jawab mil gaya he k sabse acha mobile konsa hai to niche comment jarur kare.

Stay Tuned With Us....
Thank You Friends...
Keep Visiting

Related Posts

10 Best Android Mobiles In Hindi
4/ 5
Oleh

Subscribe via email

Like the post above? Please subscribe to the latest posts directly via email.